Monday, August 31, 2009

Chintoo Ki Kavita

Chintoo Ki Kavita – Mast hai…


Pareshaan thi Chintu ki wife
Non-happening thi jo uski life
Chintu ko na milta tha aaram
Office main karta kaam hi kaam


Chintu ke boss bhi the bade cool
Promotion ko har baar jate the bhul
Par bhulte nahi the wo deadline
Kaam to karwate the roz till nine


Chintu bhi banna chata tha best
Isliye to wo nahi karta tha rest
Din raat karta wo boss ki gulami
Appraisal ke ummid main deta salami


Din guzre aur guzre fir saal
Bura hota gaya Chintu ka haal
Chintu ko ab kuch yaad na rehta tha
Galti se Biwi ko Behenji kehta tha


Aakhir ek din Chintu ko samjh aaya
Aur chod di usne Appraisal ki moh maya
Boss se bola, "Tum kyon satate ho ?"
"Appraisal ke laddu se buddu banate ho"


"Promotion do warna chala jaunga"
"Appraisal dene par bhi wapis na aunga"
Boss haans ke bola "Nahi koi baat"
"Abhi aur bhi Chintus hai mere paas"


"Yeh duniya Chintuon se bhari hai"
"Sabko bas aage badhne ki padi hai"
"Tum na karoge to kisi aur se karunga"
"Tumhari tarah Ek aur Chintu banaunga" 
 


-Pragya

No comments: