Thursday, January 10, 2019

Romantic Shayari .. must read

Ek shaam aati hai tumari yaad lekar ,
Ek shaam jaati hai tumari yaad dekar,
Par humen us shaam ka interzar hai,
Jo aye saath tume lekar

***************************************

Kashish dil ki har cheez bhula deti hai,
Band aakhon mein bhi sapne saja deti hai,
Sapno ki duniya jarur rakhna dost,
Kyun ki hakikat to aksar logo ko rula deti hai.

***************************************
Aapke khayalon se fursat nahi milti,
Hame ek pal ki raahat nahin milti,
Mil to jata hai sab kuch hame magar,
Aapki ek jhalak nahin milti.

***************************************
Sona chahta hun per neend nahi aati hai,
Badal badal ke karwate yunhi raat guzar jati hai,
Kar bhi pyaar ka izhar ya jaane jigar,
Akhir kyon tu mujhe itna tadpati hai

***************************************
Is dil mein basa tha pyaar tera,
Woh dil to kabhi ka tod diya,
Badnaam na tujhe hone denge,
Tera naam bhi lena chhod diya

***************************************

Haal dekh kar mera khuda bhi tadap jayega,
Jab bhi hogi bewaffai ki baat 
nujhe bhi koi bhoola yaad aayega,
Are apno ne kya kami rakhi jo ab koi anjan sitam dhayega,
Mat chu palkon ko Hai itna dard isme 
ke tera daaman bheeg jayega

No comments: