Thursday, August 8, 2019

Funny quotes and shayari | must read




Likhu kuch aaj, ye waqt ka takaza hai,
dil me dard abhi taaza hai,
gir padte hai aansu mere kagaz par,
lagta hai kalam me syahi kam aur teri yad jyada hai

***************************************
Waqt mila tab yad karte ho,
mud hua tab bat karte ho,
1 zamana tha jab 1 pal bhi reh
nahi sakte the hamare bagair,
ab to 1 zamane ke bad yad karte ho..
***************************************
Badal garja par barsat nai aayi,
dil dhadka magar aawaz nai aayi,
bina hichki ke guzar gaya aaj din kya

palbhar bhi hamari yaad nai aayi.

***************************************
Zindgi... Cigarette ki tarah hoti hai,
Enjoy karo... Warna... Sulag to rahi hi hai,
khatam to waise bhi ho hi jayegi.

***************************************
Apko har safar ka kinara milega,
chamakta hua har sitara milega,
aayegi chehre pe pyari si rounak,
message jab bhi hamara milega.


***************************************
Hum ek baar jite hai, Ek baar marte hai,
Pyar bhi ek baar karte hai,
Jab har kaam ek baar karte hai to.…
Exam kyu baar baar dete hai…
Best of Luck

No comments: